Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name ayatullah sistani 
Question assalam o alaikum; Meri 1st salary 5 January 2012 ko milna start hui jese k maine khums masail mein parha yehi meri date hai.. darasal main last year yani 2013 february mei foreign visit pe gaya or 16 march ko wapas aya wapsi pe ta/da mei se kuch amount mere pass save hua jo ab tak save hai ab mai wo amount ziarat pe jane k lye kharch kar raha hoon jo 16 march se pehle use hojaenge .. ab sawal ye hai k kya muje is saved amount ka khums dena hai kyun k agar 16 march k hisab se dekha jaye to 1 saal nahi hua mager 5 january k hisab se dekhen to 1 sal hogaya hai.. wassalam 
Answer Ayatollah sistani k fatwe k mutabiq salary milne ki date khums ki date nahi hoti balkeh job ka pehla din hi khums ki date shumaar hota hay. Lehaza aap ko khums 5 january 2013 ko nahi balkeh os se bhi pehlay jis tareekh ko aap ne job start ki wohi tareekh wapas aa jay tu jitni raqam or ghair istemaal shuda maal maujood ho, oska khums daina wajib hoga. (Tauzeh-ul-masail,ayatullah Sistani d.b.,33th edition,mslah#1735). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye) 

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.