Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name  
Question Salam, maira sawal yeh hay k Kia aurat pay mubashrat k ilawa Bhi kisi tariqay say ghusal e janabat wajib hota hay, maslay khud lazzati ( jismani chair char) or apnay shohar say he mutaliq shehwat angaiz khayalat to badan may jhatkay paida karain or agar us waqt koi ratubat sharmgah say niklati mehsoos ho to Kia ghusal wajib hay??? Or agar jerks lagain, khayalat Bhe hon magar ratubat na niklay to Kia ghusal wajib hay? Ek lazzat or Latif kaifiyat k bad jism sakoon may aa jaey chahay ratubat na khatir ho to Bhi Kia ghusal wajib hay? Kia ghusal e janabat k matlab sirf shohar say humbisteri or uska uzw dakhil Hona he hay tab he sirf ghusal e nanajib farz hoga?? Wassalam. 
Answer Wo rutubat(liquid) jo aurat sy shewat k sath kharij hoti hai agr is had tak ho k usay inzaal kaha jasakay aur libaas ko alooda krday,jo amm tour sy us waqt nikalti hai jb aurat hejaane shewat ki inteha tak pohnch jaey tou ye njis bhi hai aur is sy aurat mujnib bhi hojati hai aur is trha ehtiyate wajib ki bina par agr haijan shehwat ki inteha tak na pohncha ho magr pani itna ziada ho jitna puri razamandi k moqay par kharij hota hai tou bhi gusal wajib hai. (Ref:Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31th edition,maslah #345). (Khuda aap ki Tawfiqaat mein Izafa farmaye) 

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.