Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name Aga e sistani 
Question Nikah k baad jab k rukhsati nahi huwi ho kia mia biwi sex krskte hai? Agar krskte hai tou usse pehle namaz prhne ka hukum hai? 
Answer 1)Sigha nikah k zaria mard aurat per aur aurat mard per halal ho jate hai(yani mian biwi wale taluqat qaim ker sakte hai) .(nikah k baad rukhsati hona zaroori nahi hai). (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) before Masla # 2328) 2)Agar Riwaj yahi ho k jab tak rukhsati nahe hoti is waqt tak larki apnay aap ko apnay sohar k lie paish nahi karti, is tarah sai k ise aik zimne shart samja jata ho to phir aurat k lie nikah k bad rukhsati se phelay sohar k lie apne aap ko paish karna wajib nahi hai.(Ref : Mujtahid se pochay gaey sawalaat, part # 4, sawaal # 149, pg # 72)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye). Mustahab hay k shab e zifaaf(dulhan k rukhsati ki raat) hambistari se pehle 2 rakat namaz perhi jaay .(yani hasband or wife dono namaz perhain).  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.