Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name  
Question Namaz jaga Badel Badel k parho a k qayamat k roz wo jaga b bayes e magfirat ho skti h.. Es baat mai kitni Sachae h or agr sach h tu kahan ye likha h koun c Hadith h ayat h ya rawayat h? Kindly infom me 
Answer Mustahab hay namaz ko mukhtalif maqamaat main perha jay takeh wo zameen qiyamat k din os shaks ki gawah ban jay. Hadees main hay rawi ne sawaal kia hay aba abdillah (a.s) shaks apni nafil namaz ko aik jagha perhe ya mukhtalif maqamaat per tu aap(a.s) ne fermaya k: nahi balkeh yahaan or wahan(yani mukhtalif jagho per) pas ye jagha tere liay qayamat main gawah ban jay gi. Or inhi(a.s) se riwayat ki gae hay k : masjid main mukhtalif maqamaat per namaz perho, pas qiyamat k din har maqam namazi k liay namaz perhne ki gawahi day ga. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), urwatul wusqa, part#2, maslah #1382) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.