Answer |
Surae tallaq surah#65 ayat#2 ka akri hissa and ayat#3 puri yani(wa-maei yattqillaha yaj-al lahu makhraja sy........le kulle shaei-in qadra tak) rozana 3 baar parhain,awal-o-aakhir aik martaba durood bhi parh lain,rizq mai bohat izafa hoga,aur agr qarz ada krna hai tou isi ayat ko rozana 21 baar parhain.(ref:book payame shifa pg#229)
Agr kisi kahandan mai kisi waja sy na-ittefaqi paida hogai ho tou apas mai ittefaq paida krnay k leye surae anfaal (surah#8) ki ayt#63 ko rozana har namaz k bad 11 bar parhain.(ref:book payame shifa,pg#366). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
|