Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name Ayat Ullaha Sistani  
Question Assalam.o.Alaikum... Sir ap ne btaya Kafir najis hein agar khana pakatay huay koe najasat os me gir gae ho ya kafir ka tar haath ya jism ka koe hissa bhi khanay ko mas ho gaya ho to bhi khana najis ho jay ga. Aur agar in tamaam cheezoon ka yaqeen nah ho to khana jaiz he. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 104) .. 1: Mera question ye hai k pani to har khane ki har cheez main istamal kia jata hai Aur phr hath b tar ho jata hai khana bnaty hoye ( etc tea,sabzi,gunddha hue atay ki roti Aur har sabzi) to kia in sb k bawajood hum ye yaqeeen kar sakty hain k Hindu k hath ka Paka jaiz hai kun k is main gosht ya charbi ni... 2: Aur kaha jata hai k teen dafa panni se hath nikal jaye to bath pak ho jata hai????yahan tak k khanzeer ka chata gaya bartan b to kia in k hath pak ni hoty????? Plzz mere ilam main izafa farmayen...Aur mj ko answer zaror dain.... 
Answer 1)-Agr insan ko yaqeen ya aqli taur par itminaan aa raha ho k kahana paktay waqt khana najis hogaya hoga tau najis shumaar kiya jaey ga, Q k kisi bhi cheez ki nijasat sabit kerne k liay yaqeen ka ana mautabar or zaruri hai.(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 115). 2)- Ghair ahl e kitab Kafir najis hay or wo faqat islam qobool ker k hi paak ho sakta hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 205). Update on dated 11-06-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.