Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name Imam SESTANI 
Question Salam: jinab meara masla ye hay k 2013 may ramzan may, may kidney problm ki waja se 21 rooze nhi rakh paya tha jo ke abhi tak bilkul thik nhi hopai hay, or abhi kitna time or lagega pata nhi, maloom ye kerna hay k may ne sunah ay k qaza roze agaly saal k ramzan se pehle rakhna hote hain, ager may 2014 ke ramzan tak roze na rakh paya to phr mere liye kia hukam hay.... 
Answer Agr koi shakhs beemari ki waja se ramzan k roze na rakhe or uski beemari agle saal k ramzan tak lambi hojaye to jo roze us ne na rakhe hon unki qaza us pr wajib nahi hai lekin zaruri hai k har din k badle ek mudd (750 gram) fidya matlb gandum ya jao ya roti wgera faqeer ko de. Lekin agr saal k darmiyan men thik hojaen to rozon ki qaza krni paregi lekin agr thik hone k bad bhi na rakhe hatta k agla ramzan ajaye to is surat men rozon ki qaza or fidya dono wajib hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail,31rd Edition,maslah #1674-1676) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.