Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name about love 
Question assalamu alaikum... me ek ladki se nikah karna chahta hu or vo bhi chahti h hum dono ek dusre ko bahot muhabbat krte h me uske liye dua bi krta hu uski magfirat ke liye dua karta hu Allah se mene khud se vada kiya h ke me nikah se pehle us ke sath sex ni karunga bs problm yh h k hume apne Ghar walo se chip kr nikah krna padh skta h agar vo ni maane to mene suna h k ek kuwari ladki jab tak nikah ni kr skti jab tak uska baap ya dada ijazat na de de... kya esi koi condition ni h ke hum uske baap ya dada Ki ijazat ke bina nikah karley.... or ha yh bAhot jaruri h mere liye bi or uske liye bi ab hum log ek dusre ke bina ni reh pa rahe magar abhi tak ruke hue h.... aap plz is par theek se soche or phir javab de me chahta hu k aap aapki jaati raye bhi de aapki jaati raye positive honi chahiyye..... 
Answer Jins e mukhalif se dosti kerna(jesa larke or larki ka apas men dosti krna) jaiz nahi hai koun k gunah men mubtilla hone ka khoaf majood hai. (Ref : Kitab nigah aur libaas ques # 106 , pg # 69). Ak larki ka kisi no-jawan se dosti krna is eitebar sai k shadi to ek dam nhi hoti bal k shuru men baat cheet hoti hai to ye jaiz nhi hai. (Ref : Mujtahid se pochay gaye sawalaat, part # 4, sawaal # 125,pg # 65) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye). Larki ka apne wali(bap ya dada) ki ijazat k bger nikha sahi nahi hai. Albatta larke k liye apne walden se ijazat lena zaruri nahi hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail,31rd Edition,maslah #2341) Jab tak nikah nahi hojata tab tak namehram hi hen or us se pehle chahe use pasand krte hon ya na krte hon touch kran haram hai. (Ref: Ayat_ul_Allah Sistani)-( http://www.sistani.org/urdu/qa/01883/#18773) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.