Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name Ayatullah Seestani 
Question saLam........ meri age 18 years hai mujh kon kon se gusul wajid hen gusul karney k tareeqey batein  
Answer 1)Wajib ghusl 7 hain. 1)ghusl e janabat 2)ghusl e haiz 3)ghusl e nifas 4)ghusl e istehazah 5)ghusl e musa e mayyat 6)ghusl e mayyat 7) wo ghusl jo munnat ya qasam waghera ki wajah se wajib ho jey. In 7 ghusl me se 3 ghusl auratoon se khas hein baki 4 ghusl aap per wajib ho sakhte hein. (ref : tauzeeh e ul masayl ayat ullaha sistani (d.b.) pg # 62) 2) Ghusl ka tareeqa : Ghusl kernay k 3 tareeqay hain. i) Tertibi(sequence) ii) Irtimasi tadrijee(gradual immersion bath). iii)daf’ee(Immediat immersion bath).Ghusl e tertibi ka tariqah ye hay:-- sab say pehlay ghusl ki niyat say sar(Head) or gardan(Neck) ko mukammal dhoya jaay,or is k baad poray badan ko aik saath dhoya jaay.or behtar ye hay k badan ko do hisso main dhoya jaay pehlay badan ka seedah hissa or baad main ulta hissa.ghusl main naak or moonh main paani daalna wajib nahi hay.ghusl main jism k tamaam hisso tak paani pohan chaana wajib hay ,or agar ghusl k baad yaqeen ho k sar ya garden ka koe hissa khushk hay tu sar ya garden ki sirif osi jagah ko ghusl ki niyat say dhoo ker badan k dono hisso ko dobah say ghusl dain. or agar badan ka koe hissa khushk hay tu ghusl ki niyat say sirif osi hissay ko dhoo lain.(ref: Ayat Ullah seestani(d.b), tauzee hul masail,maslah#360-365).  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.