Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name  
Question keya non muslim ke haat ke bana kha saktay he? 
Answer Musalman ko haq hasil hai ke wo goosht, charbi or in se bani hoi chezoo ke alawa baqi tamam chezen khale, Haan ager is ko ya pata ho ke khane ko banana wala kafir ghair ehl e kitaab main se hai or itminaan ho k is ne is khane ko geela haath lagaya hai to phir ye khana najis hai or is ko nahi khaya ja sakta. Or isi tarah jab is ko itminan ho k khane main koi haraam cheez mili hoi hai, Haan or jahaan tak goosht or charbi or in se bani hoi cheezon ki baat hai to agar ghair-muslim in ko paish kare to is ka khana haraam hai siwaey is k keh musalmaan ko yaqeen ho k ye gosht kisi halaal jaanwer ka goosht hai or is ko share tareqe k mutabiq zibah kiya gaya hai, machli k liye ye zaruri hai k wo chhile wali ho pani se zinda pakrhi gae ho. (Ref : Ayatullah Sistani, Jadeed faqhi masael , Mafhoom e maslah # 154,155, Pg # 120, Eidition# 5). Update on dated 11-06-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey). 

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.