Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name  
Question may shadi kiya tha aur talaq diya hain kay may wahi ladki sa dubara shadi kar sakta hoin  
Answer Ager orat iddat main hai or ap ne us ko talaaq e rajii(yani talaaq dene ke waqt us orat ki umar 9 saal se ziyada thi, or yaisa bhi na thi, or ap ne us k sath jima bhi kiya ho, or jo ap ne talaaq di hai wo ap ne bivi se liye howe peso k badle na di ho) de thi to ap us larki ki tarf rujoo(yani baghair sahdi k us ko apni bivi bana sakte hain) kar sakte hain masala koi esi baat ya kaam karain jis se zahir ho ke ap ne dubhara us ko apni bivi bana liya hai jese hambitari karna, or ager iddat khatam ho chuki hai ya di gaae talaaq hi talaaq rijee nahi talaaq e tabayun thi to ap ko us ko dubhara apni bivi banana ke liye nikha karna hoga. (Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 1414 , maslah # 2486 , 2488 , 2492 ,2495 , ALLAH TAALA tofiqaat main izafa farmaae).  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.