Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name ayatullah sistani 
Question mai 18 months se apnay shohar se juda humujhay sweden ke qanun ke mutabiq talaq ho gai hai,magar mera x husband mujhay talaq nahi de raha hai aap ke pas is maslay ka koi haal hai? 
Answer 1)Ye talaq sahi nahi he q k zaruri he k talaq ka sighah sahi Arabic k saath perha jaay aur 2 aadil merd usay sun lain.(ref : tauzeeh e ul masayl ayat ullaha sistani (d.b.) masla # 2472). 2) Zarori hay k aurat talaq k waqt haiz ya nifaas say paak ho or os k shohar nay oski is paaki k doraan jis main talaq di jaay os say hambistari nah ki ho. Aurat ko haiz ya nifaas ki halat main 3 soorto main talaq dayna sahi hay. i) shohar nay nikah k baad os say hambistari nah ki ho. ii) Malloom ho keh wo haamlah(pregnant) hay or agar ye baat maloom nah ho or shohar osay haiz ki halat main talaaq day day or baad main shohar ko pta chalay keh wo haamlah thee tu wo talaq baatil hay. iii) Merd ghair haazri(absence) ya kisi bhi wajah say agarchah apni b.v. k makhfi rakhnay k sabab ye maloom nah ker sakta ho keh wo haiz ya nifaas say paak hay ya nahi.(Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah#2463-4,5 ). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.