Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name sistani sb. 
Question as Slam un alekum jnb main india se hu yha hindu ki tadat h pr muslim bhi h to kya hindu k yha ki koi cheez hm kha skte hai... or dosre ye kya music or song gana ya sunna hram hai .. or ku hai.. shukriya  
Answer wssalam o alykum, musalmaan per wajib nahi hai, ke wo khana banana wale se us ke imaan or kufur ke bare main deryaft kare, or ye ke us ne khane ko tar haath lagaya hai ya nahi, pas musalmaan ko haq pohanchta hai ke wo goosht, charbi or in se bani hoi chezoo ke ilawa baqi tamaam chezain kha lain. Han ager is ko ya pata ho ke khane ko banana wala kafir geer ehl e kitaab main se hai or itminaan ho ke is ne is khane ko tar haath lagaya hai to phir ye khana najis hai or is ko nahi khaya jasakta. Or is hi terhan ye hi hokum hai ke jab is ko itminaan ho ke khane main koi haraam cheez mili hoi hai jese sharaab. Han or jahan tak goosht or charbi or in se bani hoi cheezoo ki baat hai to ager geer muslim in ko peash kare to is ka khana haraam hai siwaae is ke ke musalmaan ko yaqeen ho ke ya goosht kis halaal jaanwer ka goosht hai or is ko shari tareqe ke mutabiq zibah kiya gaya hai. Or jahan tak machli ki baat hai to is ki tamaam qismoo ka khana jaiz hai ager is main 2 shartain mojood hon, I  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.