Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name sistaani 
Question Salam : janab agar orat ki sharmgah me ungli dale or uzuetanasul na dale ya orat apne aap ungli dale to kya ungli andar jaane se orat pe ghusl wajib hga ?  
Answer Nahi is se ghusl wajib nahi hota siwaae us ratoobat ke jo orat se shehwat ke sath kharij hoti hai, ager is had tak ho ke isse inzaal kaha jasake or libaas ko aaloda karde, joo aam toor per us waqt nikalti hai jab orat hijaan e shehwat ki intaha tak pohanch jaae to ye najis bhi hai or is se orat mujnib bhi ho jaati hai or is hi terhan ehtiyaat e wajib ki bina per ager hijaan shehwat ki intaha tak na bhi pohnche mager pani itna ziyada ho jitna pori razamandi ke moqe per kharij hota hai to bhi ye najis hai or is se orat mujnib ho jaati hai. (Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 1414 , maslah # 345 ) aurat k lye apne sharamgha ko itna chaire chaar jaiz nahe k is ki lazat aooj tak pouch jaay aur ise inzaal (mani kharij )hojaay). (ref. jaded fiqi masail aqa sistani pg no. 266 masla #506 eidition 5)). Update on dated 12-02-2015. ). Update on dated 12-02-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.