Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name pasand ki shadi 
Question mere abu bht shaki aur sakt mijaz k hain aur meri ami unse bht darti hain.meri ami ko mere liye ek larka pasand tha.us larke ki ami aur meri ami ki bht dosti thi lekin us larke ne mjhe tofay diye aur izhar kia shadi ka tu sb against ho gaye hn.ab mn aur wo larka dono shadi kerna chatay hain lekin na ami maan ri hain na hi uski ami abu.bech main uski ami maan gai thien aur kaha tha k mjhe koi masla nai sara masla tumhare abu kr re hain mana.uske aur mere abu ki nai bnti.abu ami se kehte hn iski shadi mn sharabi kababi se keroon tum bech main nai bolo gi.is larke k baray main mere abu ko kuch nai pata k wo mjhse mohabat kerta hai.mere bhai dono haq main hain lekin wo bhi majboor hain k jb tk uske gher walay rishta nai latay wo bhi kia ker sktay hain.uski ami 3,4 larkiyaan dekh chuki hain aur uske peche parhi v hain k ker lo aur dosri trf uski shadi ki tyari bhi shuru ki v hai uski ami ne.mere chotay bhai ne fatwa liya tha mufti se sari baat bta k tu usne kaha tha k shadi ker deni chaiye.hum 6 saal se saab gher waloon k mane ka intezaar ker ker k ab thak gaye hain.Allah k wastay humari madad kerein aur koi wazefa bta dein k hum dono k kisi ki bhi izat majru na ho aur sb khushi se hum dono ko kabool kerein aur shadi ki ijazat de dein.main doctor bnri hoon akhri saal hai aur larka engineer hai aur job pe hai achi. 
Answer Surah e ahzaab surah # 33 ko hath say likh kar aik dabbay(box) mai band kar k apnay ghar may hifazat say rakh dain aur is surah ko har rooz aik bar parh kar dua mangain to hisb e manshah rishta distiab ho ga. (Ref : Naway e salaheen pg # 352). Wazifa batanay k sath aap ko aik fiqhi maslay ki taraf mutawajah kia jata hai: Jina e mukhalif sai is had tak dosti karna k mohabbat ki had tak phounch jay, ye jaiz nahi hai q k ghunnah mai mubtilla honay ka khof mojoud hay. (Ref : Nigah aur libas sawal # 106 pg # 69 , ALLAH TAALA tofiqaat main izafa farmaae).  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.