Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name  
Question assalam valekum,ghusl-e-jinbat kab kiya jata hain aur uski dua kya hai? Aadmiyon ke liya kitane ghusl hain aur unki dua kya hain? 
Answer Ans : 1) Do cheezo say insaan junub(halat e janabat) hojata hay. 1) jima(intercourse) or 2) mani(semen) k kharij(nikalnay say) honay say,chahay mani(semen) neend ki halat main niklay ya jaagtay main,kam ho ya ziyadah,shehwat(lazzat) k saath niklay ya baghair shehwat(lazzat) k or iska nikalna ikhtiyaar main ho ya nahi. Jima ya mani k nikalnay k baad ghusl e janabat namaz ,roza or isi jaisi dosri ibadaat k liay wajib hojata hay. 2)Ghusl e janabat wajib namaz parhney k lie aur aisi dosri abadat k lie wajib hota he. Lakin namaz e miyat , sijda e sahv , sijda e sukhar aur quran majeed k wajib sajdoon k lie ghusl e janabat zurari nahi he. (Ref: sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah#344 , 356) 3)Ghusl e janabat ki dua mustahib he wajib nahi or dua ye hay k . ( اللهم طهر قلبي وتقبل سعيي واجعل ما عندك خيراً لي ، اللهم اجعلني من التوابين واجعلني من المتطهرين ) (allaa humma tah’hir qalbee wataqabbal saa’yee waj’al maa indaka khairallee, alla hummaj alnee minat tawwabeena waj alnee minal muat tahhireen) (ref : sistani(d.b),urwatul wusqa part#1, [683] ka masla#22 ). 4)Wajib ghusl 7 hein. 1) ghusl e istehazah 2)ghusl e haiz 3)ghusl e nifaas 4) ghusl e janabat 5)ghusl e mas e mayyat 6)ghusl e mayyit 7) wo ghusl jo mannat ya qasam waghera ki wajah se wajib ho jay. In 7 ghusl me se pahle 3 ghusl auratoon se khas hein baqi 4 ghusl mard or aurat dono per wajib ho sakhte hein. (ref : tauzeeh e ul masayl ayat ullaha sistani (d.b.) pg # 62).  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.