Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name Ayatollah Sistani Sahab  
Question Agar Kapde Par Khoon Laga Ho , Aur Namaaz Ka Waqt Nikal Raha Ho Th Us Soorat Mai Humien Kya Karna Chahiye ? 
Answer Mard ko chahiye agr ose koi bhi dekh na raha ho namaz ki halat mai (kamaskum) apni sharamgahon ko dhapen aur behtr ye hai k naaf sai ghutnoo tak badan bhi dhapain. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla #776) Agar kise k badan ya libas per dirham ki miqdaar se kam (insaan ka) khoon lag jaay to wo is halat me namaz perh sakta hai aur ehteyate wajib ye hai k dirham ki miqdaar anghote ki upper wali gerha k barabar samaje jaay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 835) Agar kise k pass namaz ka waqt itna baqi ho jis me srif tayumum he kiya jasakta ho hatta k is k pass is qadar waqt bhi na ho jis me apne jisam se nijasat door ki jasake to aise surat me tayumum kar ke nijasat k sath namaz perhna jaiz hai. Jab waqt itna kam ho k agar aik shakhs wazu ya ghusal kare to sare namaz ya is ka khuch hissa waqt k baad perha jasake to zarore hai k (namaz k lye) tayumum kare. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 664) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.