Answer |
1)Aurat k hoqooq mai sai aik ye hai k us ki rihaish,giza,libaas aur zindagi k baqi zaroriyaat ka intezaam shohar par wajib hai (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 2376) 2) Mian biwi ki aik doosray se mohabbat o ulfat k lie har namaz k bad surah e mumtahina ki ayat # 7 ko 7 martaba parha karain. Is se donoo me bai-misal mohabbat qaim ho jay gi. (ref : kitab naway salaheen pg # 404). Update on dated 05-12-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey). |