Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name  
Question ASALAMOALIKUM mera sawal ye hy k mujhe har waqt aisa lagta rehta hai k main napak hoon aur ghusl karti rehti hoon kabhi ehtalam ka shak hota hai kabhi yellow discharge ka shak hota hai mujhe ye bhi poochna hai k agar 2ya 3 ghusal farz hoon lekin yaad 2 hi rahe yani niyat 2 ghusal ki ki baqi zehan mein na rahe to kya ghusal ho jaeyga plz help me 
Answer 1)Agar kisi shakhs ko shak ho k mani kharij hoe hay ya nahi tu is per ghusl wajib nahi. (ref : tauzeeh e ul masayl ayat ullaha sistani (d.b.) masla # 383) 2)Do cheezo say insaan mujnib hojata hay. 1) jima say (intercourse) or 2) mani(semen) k kharij(nikalnay say) honay say,chahay mani(semen) neend ki halat main niklay ya jaagtay main,kam ho ya ziyadah,shehwat(lazzat) k saath niklay ya baghair shehwat(lazzat) k or iska nikalna ikhtiyaar main ho ya nahi. (Ref: sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah#344 ). 3)Agar aap ko kisee tarah bhee yeh yaqeen ho jaye keh yeh ratoobat mani hay to phir yeh mani hee samjhee jaye gee. Aur agar maloom na ho raha ho to phir 3 alaamatein daikhee jayengee. Mani ki 3 alamatain hain. 1) Shewat key saath niklay 2) Uchal ka nikley 3) Nikalney key baad badan sust ho jaye. Laikin bemar honey kee sorat mein dosri aur tisri alaamat zaroori nahi hay. or wo rutubat jo kabhi kabhi lazzat k aanay per merd k paishaab ki naali say nikalti hay, osko mazi kehtay hain wo paak hay.mazi nikalnay per ghusl bhi wajib nahi hota or naa hi wuzu baatil hota hay.(Ref:Ayat ullah Khamenae(D.B)Istiftaat Part #1,sawal#99 & taleemul ehkaam Pg#27,67) 4)Jis shaks per chand ghusl wajib ho wo in sab ki niyat kar k aik ghusl kar sakhta he aur zahir ye he k agar in me se kisi aik makhsoos ghusl ka qasad(niyat) karey to wo baqi ghusloon k lie bhi kafi he. (ref : tauzeeh e ul masayl ayat ullaha sistani (d.b.) masla # 351)  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.