Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name agha sistani 
Question Salam,kia baitul khala main wazzu karma haraam hai?makroo or haraam main kia farq hai? Kiya dono aik hai? 
Answer Bait ul khala main wuzu karna jaiz hai haan agar wuzu ka pani barah e raast flesh main giray tu makhrooh hay. (Ref :Email rcvd, Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul) (ALLAH TAALA tofiqaat main izafa farmaae). Haraam her us amal ko kehte hain jis ka tark karna shariat ki nigaah main zarori ho, jab ke makrooh her wo amal hai jis ka anjaam dena haraam na ho mager is ka tark karna behter hai. (Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 1414 , maslah # fiqha istilahaat , pg # 475 , 479 , ALLAH TAALA tofiqaat main izafa farmaae).  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.