Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name quran o itrat 
Question Asalam o alaikum Sir main ap se do bar pehlay b pooch chuka hu mgar ap ne koi jwb na dia sawal ye hy k main jab 15 month ka tha to meri mother ki death ho gai thi aur us k bad aik bar meri khala ne bhook mitanay aur mjhy rota hua chup karanay k liy apna dood pilaia majburi k tor par he aur phr kareeb 15 16 saal ki umar thi k main meri unhi khala ki beti aur main aik dusray ko like karnay lagay aur sath he is bat se b bekhabar thy khair jab meri khala ney mjhy dood pilaia to meri cousin 6 month ki thi aur wo b dood peeti thi puchna ye chahta hu k kia shadi karna jayz hy Koi aisi soorat jis main shadi ho sakay ku k meri khala ne na to apnay shohar ki ijazat li thi pilanay k liy aur dusry bat ye k pilaia b majburan tha Plz is bar zarur jwb dijiay ga ku k ye jwb meri liy bht ehmiat ka hamil hy 
Answer Aik baar dhoodh pene se koe faraq nahi perhta. Aap ka apni cousin se nikah kerna jaiz hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #2428,2438). Update on dated 22-08-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey)  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.