Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name  
Question Assalam-o-Alaikum! Sir mera sawal ye hai mere parents mera rishta rishtedaro me kr rahy hain mujhe pata chala hai us larki k kisi aur se talaukat hain phone pe aur wo larka uska prosi hai ak he diwar hai ap batain ma kia karon shadi k liye han kro ya nhi?ma b esi gali me rehta hn jahan unka ghr hai? Islam to es bt ki ijazat deta ha jo bat shak me daal dy usy chor do sir ap mujhe mufaid raye den main bohat pareshan hon apni family ko bata b nh sakta larki ka aise affair hai...  
Answer Mard ko chahiye kay jis aurat sai shadi karna chahta hai os me un sifaat aur khososiyaat ko pesh e nazar rakhay jo aik misali khatoon me honi chahae jo pak daman, shareef ul asal aur naik ho aur dunyavi aur ukravi muamilaat me sohar ki madad gaar sabit ho. Mard k lie ye munasib nahi he k biwi k intikhab me is ka metmae nazar sirf is ka zaaheri husn o Jamaal aur maal o dulat ho.(Ref : Ayatullah Sistani, Jadeed faqhi masael , Mafhoom e maslah # 386, Pg # 232, Eidition# 5).Update on dated 23-01-2015.(Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey) 

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.