Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name Agha Sistani 
Question Assalamualaikum, sir mera question ye hai ki kon konsi namazain buland awaaz sai parhni chahiye, aur awaaz kitni buland honi chahiye ...yani awaaz kahan tak sunayiii deni chahiye....plz is question ka jawab zarur dain.... 
Answer Mard kay liye ehtiyat ki bina par wajib hai k Fajr,Maghrib aur Isha ki Namaz main Al-Hamd aur Sura Buland awaz say parhay aur mard aur aurat dono par ehtiyat ki bina par wajib hai k namaz e zohor aur asr mai al-hamd aur surah aahista parhay aur is ka Mayaar URF hay (yani society k aam loog) aur isi tarah aahista parhnay ka mayaar bhi URF hay,ye Wajibaat-e-Ghair-e-Rukni main say hay aur agar jaan boojh kar buland awaz say parhay to uski Namaz Batil hay,haan agar bhool jaey ya masala na janta ho to is soorat main Namaz sahi hay (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 33rd edition, maslah #979)(Ref: Urwatul Wusqa A.Sistani Part-2 Masala No.22-26)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye) 

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.