Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name
Question Mera sawal ye hai mein kafi time se berozgar hu kafi jaga try kiya lekin job nahi milti kisi se maloom karwata hu tu kehte hain meri rozi ki bandish ki hui hai or bandish ka toor karwate hain tu dobara bandish hojati hai plz muje Quran Pak se koi ayat batae jis se meri bandish ki kaat hojae or dobara bandish na ho paye or meri rozi khul jaye... shukriya 
Answer 1)Riwayat mai hai k jo shakhs subah k waqt kisi sai baat karnay sai pehlay 3 bar surah e maeda ayat # 114 ki tilawat karay osay waha sai rozi milay gi jahan sai osay wahm o ghuman bhi na ho ga. (Ref : Kitab payam e shifa Pg # 232) ayat (rab,ban,a anzil alina . . . . . . khairur razaqeen ) 2)Agar surah kahf qarz ada karnay k iraday say parhain to inshAllah qarz ada ho jae ga. Ya maqrooz adami har namaz k baad ba-qa,edgi say surah muzammil ki tilawat karay to qarz ada ho jae ga. (Ref : Kitab payam e shifa Pg pg # 240-41) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.