Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name
Question Salam mera name harris hey. aur mein pehle 5 time ka namazi tha aur Allah ki bht ibadat karta tha.phir aik din meri zindagi mein aik larki aai.woh syed sadat se taluq rakhti thi.mein us ke bohat zayada close ho gaya.then aik din us ne mere se larai hui aur mein ne us se bht maafi maangi un dinon mere exams ho rahe the aur mein parhai per concentrate hi nai kar pa raha tha aur mein ne usse ALlah aur rasool (SAW) ka wasta diya ahle bait kasta diya per us ne ne aik jawab na diya. phir mein ne Allah se bht duaiien mangi aur bht thak gaya mere exams sab kharab ho gai but woh na maani aur phir mein zindagi mein bht bara gunnah kar diya aur kahaa keh mein aaj ke baad Allah ki ibadat nai karta us aurat ne foran reply kiya aur kaha tum murtid ho gai mein neh poore saal ibadat nai ki mein bht takleef mein tha, meri graduation ka sathiya naas ho gaya us larki ki wajah se . aur phir mujhe pata chala ke us larki ne kabhi mere se aik sach tak nai kaha tha aur mein ne aik aur bht bari ghalti aur kaha keh agar hazrat muhammad (SAW) ki aal aise ho tou Hazrat muhammad (SAW) se koi kaise muhabbat kare ga. is tarah ke bht sare ghalat ilfaz nikal diye and many more. now aj taqreeban 2 saal ho gai hein aur jab mein ab Allah ka shukar namazien parhta hoon har roz quraan ki tilawat karta hoon but mein bht pareshan hoon jo mein ne gunnah kar diya kiya Allah us ke liye mujh ko maaf kar dai ga . ya koi maafi ka koi tareeqa bata dien kuon Allah ke mehboob (SAW) ko takleef pohanchi ho gi mere un ilfaaz se. ab mein kiya karoon mein bohat roya aur bht maafi maangi but mein ab hazrat muhammad (saw) ko razi kaise karoon kuch nai pata aur mujhe kaise pata chale ga ke Allah ne mujhe maaf kar diya hey koi zariya pata dien bht dar lag raha hey mera sir phat raha hey yeh soch soch kar :( bht pareshaan hoon kuch nai samajh nai aa rahi plzz helo me  
Answer Ghuzishta amal k liay Allah say Sachay dil say tauba karain Parwardigaar ne quran me wadah kia he k wo tauba karney walon ki tauba ko qabool karta he aur aisa hargiz nahi ho sakhta he k wo apne wadeh per amal na karey(Ref: sistani.org ques # 1 , toba) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye) 

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.