Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name
Question Assalamoaleykum, Sir mera naam Shaikh Faizan hai mai aapse ye sawaal poochhna chahta hu ki khuda e paak ke fazlo karam se meri wife 5 mahine se pregnent thi magar hamari naasamjhi, nadaani or bewakoofi ki wajah se abhi kuchh din pehle hamne hamari aulaad ko khho diya or baadme pata chala ki wo hamara betaa (ladka) tha magar ab hume bohot afsos hai or hum din raat til til ke ro rahe hai...., kya aap hame koi dua/wazifa bata sakte hai jisse allah rabbul izzat hamare gunah ko muaaf karde or hame hamara betaa firse ataa farmae.... plyz hamari madat ki jiye, Allah aapko hamesha khush rakhe.... 
Answer Qaraar e nutfa(mani k rehem main thehernay) k baad isqaat e hamal jaiz nahi he.magar ye khoof ho k hamal ka baaqi rakhna aurat ki zindagi k liay nuqsan dah hay tu hamal main agar jaan nah perhi ho tu isqaat jaiz hay,laikin hamal main jaan pernay k baad bachay ka zaya kerna jaiz nahi hay. Agar maa khud bachay ko zaya kray to is ki diyat maa par wajib hai aur zaroori hai k wo diyat bachay k baap ya doosray wursa ko dai aur agar baap hamal ko zaya kray to is ki diyat is par wajib hai aur zaroori hai k wo maa ko ada kray.agar hamal gherane wala doctor ho to diat is doctor per wajib hai albaat wareseen is doctor se diat maaf karsakte hai.(Ref : tauzeeh e ul masayl ayat ullaha sistani (d.b.) jaded masayl ,masla # 72). Sache dil se toba karain. Parverdigar ne quran majeed me wada ia he k wo toba karney waloo ki toba ko qabool karta he. Aisa hargis nahi ho sakhta k wo apne waday per amal na karey. (ref : website ayatullaha sistani d.b. http://sistani.org/index.php?p=827020&id=864 ) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.