Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name
Question Conversation started Thursday Muhammad Arshad 2/27, 4:32pm Muhammad Arshad Asalam o Alikm, Muhtram mulana sahib aj mei apko aik masly sy mutaliq deen sy rhanumai k leay zhamat dy rha hon. mery dost ka yh masala hai kha wo aik jgha shadi ka pegham dy kr shadi krna chahta hai .is maqsad sy us ny apny waldaen ko lrki walon k ghr bheja but waladen ny yh ahtraz kea kha lrki ki age zyada hai ,jab kha larki ki age 28 aur larky ki 30 years hai larky walon ny refuse kr dea aur larky k samny larki k wo aaeb byan keay jo kha us mein mujod na thy. Larky k waladen k ksi b jgha rishta krny k leay yh criteria hai. 1.larki waly bhot maldar hon jab kha apna srf 4 marly ma ghr hai. 2. aala hsab nusab ho. 3. age 21 ya 22 saal ho. 4. larki khobsurat ho,smart ho. 5. sari family educated ho. 6. larki k bhai abroad hon. 7. larki walon ki zmeenen aur baghat hon. in tmam shrait mein sy aik b km ho tau refuse kr dety hn.jab kha beta aik private firm ma average job py hai.aur health b koi itni achi nae hai.in halat mein jab larky ny usi jgha jab shadi krny py israr kea tau parents ny Quran e pak zabrdsti us k hath py rkha aur kaha kha tum apni psand sy shadi nae kro gy ,hmari psand sy kro gy aur agr tum ny khud nikah ka pegham dena chaha tau walda ny kha kha mein dhood nae bkhshoon ge. ab in halat mein mery dost k yh sawalat hn 1. kia mujoda halat mein jab kha age b bhrti ja rhi hai aur health aur job b zyada bhetr nae ,aur waldaen k criteria ki wja sy jald rishta milny k b imkanat nae hn tau kia parents larky ko QURAN PAK py hath rkhwa k apni psand k leay pabund kr skty hn? 2. walda ny jo apni rzamundi sy krny py jo maf na krny ka kaha hai uski in halat ma kia shreai haseet hai? 3. parents agr istrha sy larky ki bjaay apni razamndi sy shadi krny py mjbor krty hn tau us shadi ki kia shereai haseet ho ge? kindly ap mery dost ki rhanumai kren ALLAH PAK apko iska ajar aata frmaen gy. wasalam  
Answer Agrchhe walden k both sare huqooq hen or inka ehtram krna bhi wajib hai, lekin jis tarah k halat ki taraf apne ishara kiya hai is surat men walden ki tmam sharton ki koi sharae hesiat nahi hai, or larke k baligh hone k bad waild ki wilayat bhi khatam hojati hai, or walden ko ye haq nahi pohnchta k apni olad ko is tarah bger kisi sharae uzar k majboor kren, or is tarah quran ka wasta dena ya use jhooli men dalna is qasam ki bhi koi sharae hesiat nahi hai.(lehaza ap bailgh or rasheed hone ki bina per khud mukhtar hen)(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2634) (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 3, Mafhoom e Maslah # 686, Eidition 1417 hij)Update on dated 23-07-2015 (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey). 

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.