Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name
Question Larka apni girlfriend ke sath physical raha ho kafi arsay tak yahan tak ke bich me koi parda na ho, larki bhi syed hai aur larka ghair e syed. Ab wo dono sex krna chatay hon aur gunah se bachnay ke liye mutaah ki raah ikhtiyar krna charay hain magar maa baap ki ijazat milna muskkil hai, impossible hai, aur woh raat me ghar me milay to expected hai ke sex hojae ga.. rokna bht muskil hogya hai khud ko .. kia aese pechida halaat me mutaah bghair ijazat krsktay hain.. and larka us larki se shadi ka khwaish mand hai... Wo shadi kryga . 
Answer 1) kawari(virgin) lerki os waqt tak nikah (permanent ho ya temprory(muttah)) nahi ker sakti jab tak k lerki ka Baap ya Dada lerki ko nikah ki ijazat nah day day.or yehi hokum ehtiyaat e wajib ki bina(base) per os sorat main bhi hay k jab larki khud mukhtar or baligh bhi ho. agar lerki kawari nah ho tu os k liay baap ya dada ki ijazat ki zororat nahi hay.(yahaan kawari na honay say muraad sirif ye hay k aisi lerki jo talaaq yaafta ho ya baywah ho or oskay shohar nay oskay saath hambistari /jima (intercourse) kia ho or oskay kawaraypan ko khatam kiya ho or oski iddat bhi khatam ho chuki ho.agar zinaa ya aisay hi kisi kaam say oska kawaraypan khatam hoa ho tu ye kawari hi kehlaay gi.(Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah # 2341,2342) (lehaza ap k liye q k walden ki ijazat nahi hai is liye ap k liye jaiz nahi hai is qism k taluqat q k ye zina hojayega or) Zina ko gunah e kabeera mai shumar kia gya hai.(Ref: Minhaj us salaheen Ayat ullah sistani d.b. part # masla # 29) Jo shakhs shadi na krne ki waja se haram kaam men mubtala ho us pr wajib hai k shadi kre.(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah #2407 )(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye) Note : Behtar yehi h k ap muttah k bajaye shadi krlen take ap k tmam masaail hal hojaen. Or apki masail k liye apko wazeefa dete hen. Surah e ahzaab ko hath say likh kar aik dabbay(box) mai band kar k apnay ghar may hifazat say rakh dain aur is surah ko har rooz aik bar parh kar dua mangain to hisb e manshah rishta distiab ho ga. (Ref : Naway e salaheen pg # 352) Wazifa batanay k sath aap ko aik fiqhi maslay ki taraf mutawajah kia jata hai: Jins e mukhalif sai is had tak dosti karna k mohabbat ki had tak pounch jay, ye jaiz nahi hai q k ghunnah mai mubtila honay ka khof mojoud hay. (Ref : Nigah aur libas sawal # 106 pg # 69) Jo shakhs surah e qasas ko likh kar dhoay aur is ka pani piay to Allah k hokum sai is k ranj o alam jatay rahain gay. (Ref : Dunya Wa Akhirat ki 100 Pareshanion ka hal pg # 92) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye). 

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.