Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name
Question Ma zaidi syed larki houn.. ma ek sunni larky sy mohabbat krti houn aur b mjh sy shadi krna chahta ha.. mgr hmari society mei syed larki ka sunni sy shadi hona galat smjha jata ha.. hmary khandan mei aesa kbhi nae hwa.. meray parents meray khandan ka khyal rkhty haen k bradari bura na smjhy.. please koi aesa rasta ya ya koi aesi advice daen jes sy ma apny ghar waloun ko mna loun.. aur wazifa b btaen.. sb khamoshi sy khushi sy foran maan jae bghaer kesi lrai jagry k.. 
Answer Agar shia aurat ko apne shia mazhab k tabdeel hone ka khouf na ho to sunni mard se shadi kar sakte ha.laikin phir bhi aurat k lye sunni mard se shadi karna makroh hai. aur agar shia mazhab k tabdeel ho jane ka khouf ho to shia larki k liye sunni larke se shadi jaiz nahe hai (Ref : Minhaj us salaheen Ayat ullah sistani d.b. part # 3 masla # 215,eidition4th) Kunwari(virgin) lerki os waqt tak nikah(daimi / mutah) nahi ker sakti jab tak k lerki ka Baap ya Dada lerki ko nikah ki ijazat nah day day.(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah # 2341,2342) Surah e ahzaab ko hath say likh kar aik dabbay(box) mai band kar k apnay ghar may hifazat say rakh dain aur is surah ko har rooz aik bar parh kar dua mangain to hisb e manshah rishta distiab ho ga. (Ref : Naway e salaheen pg # 352) Wazifa batanay k sath aap ko aik fiqhi maslay ki taraf mutawajah kia jata hai: Jins e mukhalif sai is had tak dosti karna k mohabbat ki had tak pounch jay, ye jaiz nahi hai q k ghunnah mai mubtila honay ka khof mojoud hay. (Ref : Nigah aur libas sawal # 106 pg # 69) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.