Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name
Question Asalam o Alekum Mujhe Muta Ka tareeqa or Muta Ki Iddat k barey me pochna ha. 
Answer 1)Nikah chahe daimi ho ya ghair daimi (yani muta) is main seegha (nikah k bool (alfaz) perhna zarori hay, aurat or merd ka faqat raazi hona kafi nahi, or isi terah faqat (nikah naama) likhna ehtiyaat e wajib ki bina per kaafi nahi hai, Aqd e nikah ki khuch shartain hain jin me se khuch ye hain k:- 1-Ehtiyaat e wajib he k nikah ka seeghah sahi arabi me parha jaey,or agar khud mard or aurat sighah arabi men na perh saktay hoon tu arabi k Alawa kisi dosri zaban main parh saktay hain or kisi ko vakil banana lazimi nahi hay. 2- sighah parhne wala aqal-mand ho or agar apne liay perh raha ho to baligh hona bhi zurari hai . 3- Merd or aurat or uska vakil sighah parhte waqt qasd e insha (nikah ka irada) rakhte hon. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2328-2335).Or wo Kunwari larki jo khud mukhtaar nah ho os k liay apne wali (baap ya dada) ki ijazat zaruri hai. Or agar lerki khud mukhtaar ho tu os k liay apne wali (baap ya dada) ki ijazat ehtiyaat e lazim ki bina per zaruri hai. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2328-2335) 2)Gher Daaimi Aqad (Mutta) wo nikah hai jis men izdiwaj (shadi) ki muddat moayyan hoti hai, Misaal.. orat k sath ek ghante ya ek din ya ek mahine ya ek saal ya is se ziayada muddat k liay aqad kiya jaey, lekin is nikah ki muddat orat or mard ki dono men se ek ki aam umar se ziyada nahi honi chahiye q k is surat men nikah (mutta) batil hojaey ga. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # after the masla no # 2328). Update on dated 08-05-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.