Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name
Question Mera sawal yeh hai ap se agar koi shaks hand practice karta aur koi shadi ka sabab na banana ki waja se is kam me mubtala ho ha aur bhi pori koshish k bawajood 3-4 bad is kam ka irtaqab karta ha k use koi zina sarzard na hogaye to us hawale yeh tb bhi haram hi ha aur iska kufara kya hai muge apka reply ASAP chahiye meri shadi nahi huwi lakin me guilty feel karta hun kyu k mera itne zara mash nahi k me shadi karsakon  
Answer Hand practice(Istimna) karna kisi bhi zariay se ho haram he. (Ref : Jaded Faqhi Masayl Masla # 462 pg # 253) 1)sab se pehlay tu aap ko apnay is gunah per nidamat honi chahiay or Allah se istighfaar or tauba talab kerni chahiay or apnay aap se ehed or wada kerna chahiay k is ghunah e azeem ko phir kabhi anjaam nahi dain gay.or hamaisha yaad rakhain k Allah aap ko har waqt daikh raha hay or aap is gunah ko anjaam day ker shaitan ka hokum maan rahay hain or Allah kin a fermani ker rahay hain.aap koshish karain k aap khud ko dosri mufeed kaamo main masroof ker lain jaisay khail, perhae waghaira waghaira or har os cheez se perhaiz karain jo aap ki jinsi khahish ko ubhaaray.or agar aap khud per qaabo nah rakh saktay hoon tu aap k liay wajib hoga k aap nikah karain.(E-mail Rcvd from A.Sistani(d.b) Sep 27, 2010) 2) Toba karein Parwar digar ne quran me wadah kia he k wo toba karney walon ki toba ko qabool karta he aur aisa hargiz nahi ho sakhta he k wo apne wadeh per amal na karey. Aur ghuna se bachney k lie mazboot irada chahiea. (Ref : sistani.org ques # 1 , toba) 3)Jo shakhs shadi na karnay ki wajah se fail e haram me mubtila hota ho os per wajib he k shadi karay. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 2407) ghunahoon se bachnein k bohat se tariqe hain jin me se chand ye he k 1)mout ki yaad ko dil main bassa 

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.