Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name
Question mera sawal ye hai k kia behan aur behnoi k sath haj jaez h ? please jawab zarur dena 
Answer Gee han ek orat apne behn or behnai k sath hajj pr ja sakti hai agrchhe behnoi namehram hota hai, Orat pr hajj wajib hone k liye mehram (bap,bhai,beta) ka sath hona shart nahi lekin is k liye shart ye hai k orat apne nafs ki hifazat kr sakti ho, or jab aman na ho to us shakhs ka sath hona lazmi hoga jo uski hifazat kre agrchhe ujrat pr hi sath ho mgr is ki shart ye hai k kisi shakhs ko ujrat pr lene ki qudrat rakhti ho wrna hajj wajib na hoga. (Ref : Ayatullah-Sistani(d.b), Manasik-e-Hajj(farsi), 7th Eddition, Masla#60,Pg#48).(Khuda apki toufeeqat men izafa frmaye)  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.