Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name
Question Asslamun alikum Mera sawal yeh hi mera ek makan hi mai aur mere husband dono oss ghar me rehte hi..mare 3 ladkia ek ladka hi ladkio ki shadi ho gai hi ladke ke bhi shadi ho gai hi.ab yeh makan mai shariyat tour pe kiske naam karu..isme ladkio ka bhi koi hissa hoga.. 
Answer Agar aap apni zindagi men hi ye makan apni aulad ko dena chahti hen to phir jis tarah aap chahe on k hawale ker dain. Or agar aap apni zindagi main on ko malik nahi banati tu aap ki wafaat k baad agar aap k shohar zinda rahe to wo is makan ka (chotha=¼) hissa paenge or phir baqi makan or chezo k 5 hisse kiay jaen ge 2 hisse aap k bête or baqi 3 hisse aap ki 3 betiyo ko milenge, lekin agar aap k shohar bhi zinda nahi rahe or aap ki death k bad makan or maal k 5 hisse kiay jaey gay 2 hisse aap k bate ko or baqi 3 hisse aap ki 3 betiyon ko milen gay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2694). Update on dated 04-06-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey). 

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.