Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name
Question Aoa. Mera sawal ye hai ke hum intercourae ke waqt ahtiat kerte the kynke humain abhi bacha nachie tha aur mere periods ke time ke darmiyan do dafa pregnancy strip se check kiya lekin wo negative ayi lekin ab period ko 5 days guzar chuke hai aur periods nAhi aye hain aur jab strip se check kiya to wo light positive show ker rahi hai. Mujhe bacha abhi nahi rakhna hai kynke mera ek bacha abhi ek saal ka hai aur main buhat pareshan hon. Kia ye hamal hai aur kiya main is ko khatam ker sakti hon. Shukaria  
Answer Qrare nutfa k bad isqate hamal(abortion) jaiz nahi hai, mgr ye k khoaf ho k hamal ka baqi rakhna orat ki zindagi k liye nuqsanda hai, ya na-qabile brdasht harj ka bais ho to agr hamal men agr jaan na pari ho to isqaat (obartion) jaiz hai, lekin hamal men jan parne k bad bachhe ko zaya krna hargiz jaiz nahi hai.(Albatta hamal ki condition ko janne k liye doctor ki taraf ruju kren) (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, 31th Edition maslah # 487).(khuda apki toufeeqat men izafa frmaye)  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.