Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name
Question assalam u alaikum,mene aj ap se chand bohat hi zaruri or aham sawalat karne hai hai umeed hai ap muje is ka jawab jald de ge,1 bat ye ke jab bhi me kabhi rat ko sota hun to fajar ki namaz se thori der pehle mani ka ikhraj ho jata hai musht zani nai krta me or ap muje ye btaye ke is surat me agr mani kharij hojaye to kya mani pak hoti hai na nai or kya gusl farz hota hai agr hota hai farz to agr us waqt bnda ghusl kisi bhi halat me kr hi na sake to kya kiya jaye.2 bat ye ke ap muje ye btaye ke muje ye problem hai ke meri 24 ghantey ke doran mani ke 3 ya 4 qatre bila nagha nikal hi ate hai halan ke me kuch ganda sochta bhi nai or na hi dekhta hun to us halat me kya ghusl farz hai?3 bat ye ke agr mani ka ikhraj kisi gandi cheez ko dekhne ke bad ho jaye ya phr dimagh me koi ganda khyal a jaye ya phr koi or tarah ki lazzat a jaye to kya us mani ke nikalne se ghusl farz hota hai ya nai. mere bas ye 3 questions hi hai umeed hai ap jald jawab dege or mayoos nai kre ge,thanks. 
Answer 10 chizen najis hen jin men se ek mani bhio hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, 31th Eddition, maslah # 80) 7 Ghusal wajib hen un men se ek Gusl_e_jinabat hai (or ye mani k kharij hone ki waja se hota hai) (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, 31th Eddition, maslah # 344&Heading of Ghusl Pg#62) 7 suraton men wazu or ghusl k badle Tayamum krna zaruri hojata hai, 1. Pani na hona(Matlb pani ko ziyada se 480 ziraa (220 Meters) tk k elaqe tak talash krne k bad agr na mile to Tayamum wajib hota hai) 2. Pani tak rasai na hona. 3. Pani k istamal men khoaf ho. 4. Harj or mushakat ho. 5. Pani piyas bhujane k liye zaruri ho 6. Wazu ya ghusl ka takro aysi sharaee takleef se horaha ho jo in se ziyada aham ho ya in k brabr ho 7. Waqt tang ho(nmaz k liye sirf itna wqt bacha ho k agr wazu ya ghusl krega to namaz qaza hojayegi) Agr ye suraten insan ko pesh agai hon to phir ghusl or wazu k bajaye tayamum krke namaz parhna wajib hai, or jab pani mahiya ojaye to ghusl krle. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, 31th Eddition, maslah # 638& Headings of Tayamum, Pg#111-to-115) Ans#2&3)- Wo Ratoobat(liquid qatre) jo kabhi shehwat ubharne pr Mard ak Aal_e_Tanasul se kharij hoti hai use mazi kehte hen, or wo pak hai, is k elawa wo ratoobat jo kabhi kabhi mani k bad kharij hoti hai jise wazi kaha jata hai ya wo ratoobat joa baz oqat peshab k bad nikalti hai jise wadi kaha jata hai agr in dono k sath peshab in k sath mila hua na ho to pak hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, 31th Eddition, maslah # 70) Do chizon se insan mujnib hita hai ek jima se duse mani kharij hone se , chahe wo neend ki halat men niklae ya jagte men, kam ho ya ziyada , shehwat k sath nikle ya ya bagher shehwat k us ka nikalna ikhtiyar men ho ya na ho. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, 31th Eddition, maslah # 344) Agr kis Shakhs k badan se koi ratoobat kharij ho or wo ye na janta ho k mani hai ya peshab ya koi or chiz , to agr wo ratoobat shehwat k sath or uchhal kr nikli ho or usk nikalne k bad badan sust hogaya ho to wo ratoobat mani ka hukm ra khti hai lekin agr in 3 nishaniyon men se sari ki sari ya kuch mojud na hon to wo ratoobat mani ka hukm nahi rakhti. Isi tarh wo ratoobat jo orat k sath mula`abat ya shehwat angez tasuwrat k wqt insan apni sharmgah men mehsoos krta hai wo pak hai us se ghusl waib nahi hota or na hi ye wazu ko batil krti.(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, 31th Eddition, maslah # 345). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.