Answer |
1) Jahan tk uzo e tanasul (penis) ka chota ya lamba hone ka sawaal hai, tu osay bs is qadar hona chahiay k Indaam e nihaani (yani aurat ki sharam gah) ko mutaharrik kar sakay or sub se ziyada hasaas(sensitive) sharam gah ka bahir ka hissa hota hai. Khaas tour per bazr(Clitoris) or os tk phochne k liay chota uzo(penis) bhi kafi hota hai. Laihaza penis ka chote bara(large) hone sai koi faraq nahi parta, albatta penis ka bohot hi ziyada bara(large) hona takleef ka sabab hota hai. (Ref: Tehqeeqi islami encyclopedia,mu,allif doctor sibt e shabbar zaidi,vakil e ayatollah muntazari, part#1, pg#110-111 ) 2) jis ka nutfa kam ho ya kamzoor ho os k chahaea k sab se pehlay khuda ki bargah me istegfar karay aur is k bad anday(egg) aur piaz kasrat se khaien. (ref : kitab tib e islam pg # 54) 3)Homoeopathic Medicine damiana pentarkan drops(Made in Germany Dr. willmar schwabe karlsruhe) subah, dopeher, raat 10 qatray aik ghoont pani main daal ker istemaal karain insha allah jald hi tamaam jinsi bimariyan khatam ho jay gi. Update on dated 21-11-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey). |