Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name agha seestani 
Question agar aik shia mard , sunni aurat se shadi karta ha or us k ghar wale us ko talaq dilwana chahen or wo larki keh de k muje talaq chaye or wo larka inkar kar de phir wo larki khla la le to kia ya talaq ho gai, jab k unhon ne mard ki marzi k khlaf khula le or larke na sing kia sirf is lia k larki n likh kar de dia tha, dusre ya k unhon ne hand written paper de the us larki ka bayan bhi or mera iqrar nama bhi ilaqe k nazim se tasdeeq k lia , koi seeghe nah parahe , or koi mulvi nahi betha , sirf wo paper par larki ka statement likhwa kar lae the or phir aik paper par mera iqrar nama k ma khula deta hon or sign karwale the. 
Answer Talaaq k sahih honay ki chand shra’it hain. 1) talaq k waqt aurat haiz or nifaas say paak ho or is paaki k doran merd nay jima(intercourse) nah kia ho. 2) talaq zabani dijaay.yani likh ker talaq dayna baatil hay or talaq nahi kehlaay gi. 3) zarori hay k talaq arbi zaban main di jaay. 4) talaaq do adil(jo zaahiran gunahgaar nah hoon,or wajib kaamo per amal kertay hon or haram kaamo say bachtay hon) gawahoo ki maujoodgi main di jaay. 5) Merd talaaq k waqt talaq ki niyat rakhta ho,layhaaza agar wo maslan mazaaq ya nashay ki halat main talaq day tu,talaaq sahi nahi hogi. 2)agar aik talaq k baad iddat(3 haiz) k doran ruju nah kia jaay tu nikah ker k os ko biwi banaya jasakta hay.(ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah# 2462 to 2464 & pg#460).  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.