Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name
Question Aslamualikam main aik hindu larki say shadi karna chahta hoon woh bhi mujh say shadi karna chahti hay or us ka pehla shohar us say nahi milta or woh muslim ho kar hi mujh say shadi karna chahti hay kya hum nikah kar saktay hain or us ke muslim hone ke baad kya us ko pehlay hindu shohar say talaq lena zaroori hy hamaray liye kya huqam hy hum aik dosray ke baghair nahi reh saktay khudara hamar rahnumai farmaye 
Answer Wssalam o alykum, jab orat Islaam Qabool kare gi to ye us hindu mard k nikah se khud ba khud nikal jaae gi, to ager us hindu mard ne is orat se jima kiya hai to ehtiyaat wajib ki bina per ye 3 haiz ki iddat k barabar iddat rakhe gi, or phir iddat k katam hone ke baad ap os se Islami tariqe se nikah kar sakte hain. Or ager us hindu mard ne is se jima nahi kiya ho to is ke liye koi iddat nahi hai, or Islaam k qabool karne k baad aap is orat se Islaami tor per nikah kar sakte hain. (Ref : aqa sistani , Jadeed faqhi masail , masala # 433 , pg # 243 , eidition # 5 , ALLAH TAALA tofiqaat main izafa farmaae). 

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.