Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name  
Question aslam-o-alikam sir main aik larkiyo jaisa larka hon aur 17 sal sy aik larky k sath muhabat karta hon wo larka bi muj se muhabat karta hai main namaz bhi parta hoon pichly 20 sal sy ham dono galt taluqat rakhty hain khabi khabi wo larkiyo sy bi taluqat bana laita hai jis ki waja sy main marny wala ho jata hon us ki shadi hui to tab bi mere halit marny wali thi main buhat mushkil sy bacha tha phir thory arsy bad wo theeq ho gia phir mere shadi ho gai phir us ny muj sy mon mur liya tab bi meri halit buhat buri ho gai thi main us k beghar nahi rah sakta tha likan waqt k sath sath mujy us sy nafrat ho gai lekin phir bi us k beghair nahi rah sakt wo police me hai us k bazari aurto k sath taluqat hain main ne 1 mahina pahly us ko aik larki k sath pakr liya jis ka mujy buhat ranj hua yahan tak k main khudkashi k liy sochny laga lekin ab main ne dari mubarik rakh le hai aur mere dil main ab bi us k bary main waswasy aty rahty hain har waqt us k bary mein sochta rahta hon main ne allah s wada kiya hai k zana nahi karon ga aur apni sari zindagi islam k mutabiq guzaron ga lekin dil main y khiyalat aty hain k main y sb kuch us k liy kar raha ho agar wo mujy phir kahy ga to main tayar ho jaon ga. lekin ab main sab kuch khatam kar dina chahta hon aur apni zindagi allah k nabi k bataiy huy asolon k mutabiq basar karna chahta hon. ap se guzarish hai k ap kui asan sa hal batain ta k meri us k tarf sy muhabat khatam ho jai aur main apni bivi sy buhat ziada muhabat karny lag jaon mian ny pichly 17 sal buhat mushkil main guzary hain har waqt us k bary main sochna us k liy sab kuch karna guna karty rahna main ny is sy pahly bhi buhat wazify kiy hain lekin mery amal main pata nahi kun kam nahi hota lekin ab main ny allah talah sy toba kar le hai aur main sirf aur sirf islam k mutabiq zindagi guzaron ga. ap koi ayat ya koi dua bata dain asan ta k main is ka hal nikal sakon aur mere us ke tarf rughbat khatam ho jai main ap ka buhat shukar guzar hon ga. baqi allah ja chahy ga ho ga. aur mujy yaqin hai k allah ki tarf main ja raha hon to allah bi mujy pasand kary ga. mery jism sy napaki khatam ho jai ap k liy dua karta rahun ga..mera nam shoaib mohammad meri walida ka nam sughran bibi us ka nam mohammad ashraf us ki walida ka nam sharifa bibi 
Answer 1)Zina or lawaat(merd ka merd say bad faili kerna) gunahaan e kabeera hay or isi terah tamaam jinsi lazzaat(sexual relation-ship) ka kisi k saath haasil kerna siwa’ay biwi or shohar k ,azeem gunah hain.(Ref: Minhaajus saliheen part#1,Pg#30). 2)Agar sura-e-muzammil ko rozana aik aik dafa 41 days tak parh kar dua ki jai to (inshallah) yaqeenan rishta tay ho jaiga. (REF: Wazaif-ut-talib, pg no. 76). 3). 3) kisi bhi jaiz muhabbat k liay 313 mertaba ye perhiay. “yaa lateef yaa wadood” (Ref: naeemul a’amaal,pg#314). 4) Dua e tawassul ko her waqt perh saktay hain,laikin kisi khaas maqsad k liay is dua ko musalsal 14 dino tak rozana namaz e fajar k baad aik 2 rakat namaz e hajaat ada kernay k baad perh ker dua maangain. insha allah parvadigar aap k haq me jo behtar hoga wo karega .(Ref: Naeem ul aamaal pg# 40-41) 5) Shadi honay k liay Sadqa dain.sadqa har musibat or aafaat ko taal daita hay.(Ayat Ullah Seestani(d.b), minhaajus saliheen,Part#2,albaabus saani-fis sadqa,maslah#1601) wazifa bayan karne k sath aap ko in fiqhi masail ki taraf bhi mutwajjah kiya jata hay k : jins e mukhalif se dosti kerna jaiz nahei koun ke ghuna me mubtila hone ka khof majood he. ( kitab nigah aur libas ques # 106 , pg # 69).  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.