Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name
Question Salam.. mera sawal yeh hai ke.. main jab bhi bathroom jaata hoon aur jaise hi stool pass hota hai to mani jaise white qatre nikalte hue nazar aate hain . kia woh qatre paak hain? aur uss ke baad main ne taharat ki aur ghusal karne kia woh hi shalwaar pehen sakta hoon? ya phir in qatron ke baad ghusal na karun..? plz bataaiyega zaroor jaldi ..bari nawazish hogi..  
Answer Wssalam o alykum, wo ratobat jo kabhi kabhi shehwat ubharne per mard ke aalaa e tanasul se kharij hoti hai use mazi kehte hain, wo paak hai. or wo ratobat jo khabhi mani ke baad kharij hoti hai jise wazi kaha jata hai ya wo ratobat jo baaz uqaat pishaab ke baad nikalti hai or jise wadi kaha jata hai ager pishaab us se na mila ho to wo paak hai. or jab kisi shaks ne pishaab ke baad istabra kiya ho or us ke baad ratobat kharij ho jis ke bare main shak ho ke wo pishaab hai ya mazkoora baala 3 ratobatoon main se koi ik to wo bhi paak hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 70 , ALLAH tofiqaat main izafa farmaae). 

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.