Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name
Question sirf nikah hoa ho r larki larkay say phone per bat krti ho.larka gusay main mukhtalif moqun per keh day k ja main nay tjhay talaq di .aik time main 2 dafa r khuch dinu bad 3ri dafa tu kya talaq ogai?? 
Answer Talaaq ki chand shartain hain jin ki pabandi nah ki jaay tu talaaq nahi hoti. 1.talaq k waqt aurat haiz or nifaas say paak ho or is paaki k doran merd nay jima(intercourse) nah kia ho. 2.talaq zabani dijaay.yani likh ker talaq dayna batil hay or talaq nahi kehlaay gi. 3. Talaq ka seegha sahi arabi main lafz e طالق k saath perha jaay. 4.talaaq do adil(jo zaahiran gunahgaar nah hoon,or wajib kaamo per amal kertay hon or haram kaamo say bachtay hon) gawahoo ki maujoodgi main di jaay. 5.zarori hay k merd talaq apne ikhteyaar se day or agar osay apni bivi ko talaq daine par majoboor kia jaay tu talaq batil hay. 6.Merd talaaq k waqt talaq ki niyat rakhta ho,layhaaza agar wo maslan mazaaq ya nashay ya ghussay ki halat main talaq day tu,talaaq sahi nahi hogi. (ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah# 2462 to 2464 & pg#460) Agar sahe talaq de ho to phir aurat k lie iddat rakhna zarori hai. : Aisi aurat ki iddat jis k do(2) haiz ka darmiani fasla 3 maah(month) se kam ho ye hay jab is ka sohar usay paki ki halat me talaq de (yaani jab wo periods main nah ho) tu jab os aurat ko talaq k baad teesra haiz (menses) aay tu oski iddat mukammal huti hay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 2475 ) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.