Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name
Question hamari bahu ke bare me kuch suggestion chahiye- hamara ghar aur mahol kafi acha aur bahetrin hai ek hi beta aur beti hai beti susral me hai beta achi job per hai - phir bhi bahu hum ne apne bete ki zindagi savarne ke liye laye nake uski zindagi barbad kare dusri laneka aisa soch bhi nahi sakte -bahu ka nature acha hai gharelu kamo me age hai namazi hai- bahut achi baten bhi hai magar kuch batey ab ek do saal se samene arahe hai jo ke bete ki zehni taklifo ka sabab ban rahi shadi ko mashalahh 4 saal hogaye ek beti payari si hai- bahu ke mezaj me jooht bolna shamil hai hum ne ye bat gor nahi ki aur dosri bat bado ki izzat nahi hai palta ker jawab dena ya agar kisi ne ye kaha ye chej kaha hai ya phir beti ko fit scarf na phenayo to foran jawab ata hai nahi lose hai ya hun ne dekha nahi, kara nahi, hum ne to aisa junla bola hi nahi ,halake samne wo ye sab karte hai phir bhi apni bat per date rahte hai aur saf muker jate hai, beta ki subha se sham duty rahtei hai beta benglore me job karta hai woh bahu poti bhi sath me hai hum log nanded me hai 6 mahne me ek bar ata hai waha bhi yahi haal shoaae ko palta jawab dena apni bat par ade rahna jabke woh bat seye se sahi nahi hai beti ke khane pene par care nahi hai woh to nanhni masoom hai shor ka khayal nahi aur hamara beta to be inteha use mohabbat karta hai par ab in halat se woh pareshhan hai woh kehta hai mumy mai kaisa use samjao her tareqe se samajha ker dekh chuka hoon phir bhi usme koi tamdili nahi ati-bahu ke maiyke me ek bhai hai mamo finiacially strong hai father ne dosri shadi karli bahu ke mumy ke nature me bhi thoda ziddi aur paiso ka ghamand hai wahi ghamand aur goroor bahu me hai ab kaye ka itna goroor hai pata nahi bahu mashalahh se educated hai Bca hai- hum log yahi chate hai ke bahu ache se apne shoher ke sath ghar zindagi kare apni beti ka shor ka khayal rakhe khushi se rahe- na sas na susre na devrani na jethani sab apne apne ghar me hai- sohar uska her chiz ka khayal karta hai to woh bhi uski umidoon par utre varna mai nahi chati mera beta aur poti koi nai zahni talifon ko shikar ho jaye- iske liye koi suggestion aur dua bataye- 
Answer surah e Baqra (sura#2) ki ayat no 165 ko kisi mithi cheez per (masalan ghar main istamaal hone wali cheni per phar kar dam kar dain) dam kar ke bivi ko khilaain. (Ref : tajalliyaat e Quraan , pg # 135). Note: jesa ke apne bataya k us main achaaiyaan or buraiyaan dono hain to us ki achaiyoon per ziyada tawajoo dain kun ke sab main kuch na kuch boraiyaan hoti hain. (ALLAH TAALA tofiqaat main izafa farmaae).  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.