Answer |
chand masjidoo main namaaziyoo ki kasrat ki waja se namazi masjid se bahar sehan tak ponhach jate hain jese namaaz e Jumma or Namaz e eid main, or masjid ki zameen ka level sehan ki zameen se uncha hota hai to esi halat main Imaam e Jamaat ko esi jaga khara hona pharta hai jis jaga ki zameen tamaam namaziyoon ki jaga ki zameen se unchi na ho kun k Shariat e Muqaddasa main zarori hai ke Imaam e Jamaat ke khare hone ki jaga mutadiyoon(namaznio) ke khare hone ki jaga se ziyada unchi nah ho. (Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 1414 , maslah # 1396 , ALLAH tofiqaat main izafa farmaae). |