Answer |
Agar baqi sari sharten mukamal hain tu ager lerka lerki arbi main sahi segha nah perh sakte hoon tu arabi k alawa kisi or zabaan main sigha parh sakte hain laikin zarori hay k dono ese alfaaz istemaal karain jo k arabi k alfaz (zawwajto or qabilto) ka mafhoom ada kar dain ya ager larki kanwari ho to us k wali yani baap ya dada ki ijazat shart hai to muta sahi hai, or Agar koi ek shart bhi kam ho to muta batil hojaey ga. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2335). Update on dated 08-05-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey). |