Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name
Question sir ager allah se wada kiya jiye aur baad me us ke dar se usey wapis le lya jye ke khi me wada tor na dn to is ke bary me kya ikhmat hen 
Answer Wssalam o alykum, G han agr Allah se Ahad(Vada) kiya jaye to usko pur krna wajib hai, lekin Ahad ko Ahad us wqt kaha jaye ga Jab apne ye Ahad zaban se bol kr kiya ho (k Men Allah se ye Ahad krta hun k ainda men ye Gunah nahi krunga) lehaza faqt Ahad ki niyat krne se us per amal krna wajib nahi hota (arche gunah se bachna hr surat men wajib h), phir bhi ehtiyat e mustahib hai k agr dil se bhi ahad kiya jaye to us per amal kiya jaye (albatta wajib nahi hai) lehaza agr apne ahad k alfaz ko zaban se ada kiya hai to vada pura na krne ki waja se ap 60 faqeroo ko peat bhar kar khana khilayen ya phir 2 mahine ke musalsal roze rakhen (yani in dono kamon men se jo ap chahen anjam den) (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2631-32). Update on dated 23-07-2015 (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey). 

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.