Answer |
Shab e jumma, shab e jumeraat ya roz e jumma bawazoo hone ke baad roh e qibla beeth kar sura e Muhammad ki tilawat karain, phir sura e anaam ki aayat 125 tak tilawat karain, phir foran khare hogaain or do (2) rakat namaaz e hajat pharye (1st rakat main al-hamd ke baad 7th mataba aayat ul al-kursi (al-aliyu al-azeem) tak, phir 7th martaba sura e kosar(inna aatyana) pharye, phir ruku o sujood anjaam de kar 2nd rakat bhi 1st ki terhan anjaam dejye, namaaz ke foran baad sura e anaam ki aayat no 124 se sura e anaam ki aakri aayat 165 tak tilawat kijye, pharne ke baad sajde main ja kar 70 martaba laa ilaha illa llaho muhammadon rasoolu llahi pharye, phir ALLAH QAZI UL AL-HAJAAT se dua kijye INSHALLAH ALLAH QADIR O TAWANA ap ki dua qabool farmaae ga. (Ref : tajalliyaat e Quraan , pg # 41).
Note is wazife ko iklaas ki ziyaati ke sath dohraate rehiye jab tak natija zahir na ho. Doctor ki tarf bhi ruju kijye. ( ALLAH TAALA tofiqaat main izafa farmaae).
|