Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name
Question salam Ans: "Wo ratubat jo aurat say shehwat k saath Khaarij hoti hay Agar is Hadd tak ho kay usay Inzaal Kaha ja sakay aur libaas ko aalooda kar day , jo aam tor par us waqt nikalti hay jab aurat jinsi shehwat ki Intihaa tak pohunch jaey to ye Najis bhi hay aur is aurat ko Mujnib(Jis par ghusl wajib hota hay) shumaar kiya jaey ga aur us par ghusl e janabat bhi wajib hoga." mene ghusl-e-janabat k masail main ye jawab kafi dafa dekha h laikin mujhe iss main kuch baton ki smjh nhi ati k Aurat Inzaal kb qarar paey gi? And aurat shehwat ki intiha tk kb pohanchti h? Ager mehsoos hua ho k ratubat kharij hui hy laikin libaas aaluda na hua ho tb b ghusal wajib ho jata h? And kharih hone wali ratoobat kis tarah ki hoti h? mujhe likoria ka b masla hy to in dono me kese fark pta chaly ga?  
Answer Agr faqt mehsoos ho or libaas aaloda na ho to ye wo ratobat nahi hai or na hi is se gusal wajib hota hai. Or jahan tak likoria or is ratobat ki baat hai to ye ratobat us waqt aati hai jab orat apne ander intihaae shewat mehsoos kar rahi ho, jab ke likoria aysa nahi hai q k likoria men shehwat nahi hoti. pas ager orat intihaae shewat mehsoos kare or is shewat ki waja se itni ratobat nikle ke libaas ko aaloda kar de or is ke nikalne ke baad orat ke shewat ya to khatam ho gaae ye kam ho gaae to ye ratobat likoria ki ratobat nahi balke orat ko mujnib karne wali hai. Or is ratoobat ki alamat ye hen k shehwat k sath , uchhal kr, or us k nikalne k bad badan sust hogaya ho to wo ratoobat mani haio or is se insane mujnib hojata hai.(Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 1414 , maslah # 345, ALLAH tofiqaat main izafa farmaae).  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.