Answer |
Wazifa bayan karnay se pehle ap ko is fiqhi maslay ki taraf bhi mutwajjah kiya jata hay k: jins e mukhalif se mohabbat jaiz nahi hai Q K gunah men mubtala hone ka khoaf mojud hai(Albatta islam pasand ki shadi ki ijazat deta hai).(kitab nigah aur libas ques # 106 , pg # 69 , ALLAH TAALA tofiqaat main izafa farmaae).
Surah e ahzaab ko hath say likh kar aik dabbay(box) mai band kar k apnay ghar may hifazat say rakh dain aur is surah ko har rooz aik bar parh kar dua mangain to hisb e manshah rishta distiab ho ga. (Ref : Naway e salaheen pg # 352).
|