Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name
Question salam.isl bhai,mere masla ye hai k meri shadi ko 4 saal ho gaen hain or main apne husband k sath shdi k bad sirf or sirf 1 saal rahi hon phir wo mujhe naraz hokr chor gay thy or narazgi k doran unho ne mujhe gusay mein or mujhe azeat dene k liye alg alg time 2 mrtba ye kaha k ab tum meri wife ni meri taraf se tum ab farig ho ab main tumhe bv wala drja ni donga or jb se wo mujhe chor k gaen hain yani hmari aledgi ko ab pory 3 saal or 6 month ho gaen hain or es pory time mein hum kabhi b 1,2osry se ni mily na he kabi apas mein bat wagera ki yani hmary damian aledgi k bad kisi b qisam ka koi b taluk ya bat cheat ni or hum dono 3saal,6 month se bilkul he la-taluk hain or wo mujhe jan bojh k azeat dene k liye talaq b ni dety to ab maine court k zariye khula li hai to bara-e-mehrbani meri rehnumai farmaiye k kiya es sub sorat mein meri iddat banti hai ya ni?q k main 1 student b hon or education k liye mujhe ghar se bahir jana parta hai or mujhe job b karni hai to plz ap es sary masaly ko mad-e-nazar rakh k gor-o-fikar kr k btaen k meri iddat banti hai ya ni?main ghar se bahir nikal sakti hon ya pory 3 month tk ni?plz reply 
Answer Talaaq ki chand sharaait hen agr apk shohr ne apko un sharaait k mutabiq talaq dedi hia to ap pr iddat wajib hai or iddat k bad ap dusri shadi bhi ker sakti hen, un sharait men se ye hen k talaq shohr apni marzi se de, or niyat bhi talaq dene ki ho lehaza mazaq ya nashe ki halat men talaq nahi hogi, talaq ka seegha Arabic men ho, 2 aadil gawah us seeghe ko sunen us wqt k jab shohr keh raha ho.agr ye sari sharten mojud thin to ap iddat wajib hai or agr koi b shart tootb jaye matlb ek bhi shart puri na ho to phir ap aps men abhi tak miyan biwi hen.(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 1414 , maslah #2474). 

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.