Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name
Question salamz mera sawal ye hai k agar biwi ka shadi se pehle koi affair raha ho lekin zina na kia ho matlab sirf hath pakra ho ya gale lagaya ho lekin shadi se pehle biwi ne shohor ko nae bataya ab shohor biwi se alam e abbas pe le jakar kasam uthwae to kia biwi jhooti kasam kha sakti hai? 
Answer 1)Doosro k saamne apne gunah ka iqraar kerna jaiz nahi hay). Update on dated 28-11-2015. (Ref:Mujtahid se poche gay sawalaat, part#2, pg#88). 2)Jhoti qasam khana jaiz nahi hay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 2638). Jins e mukhalif sai dosti karna jaiz nahi hai. (Ref : Nigah aur libas sawal # 106 pg # 69) Is bina per ap ko apne shohar ke sath dil se rehna chahiye or koi esa kaam nahi karna chahiye jo un ko ap per shak ki muhlat de. 4) Aap ko chahiay k aap tauriyah karain, yani aise alhaaz istemaal karain k jis se wo khuch samjhain aap ki muraad khuch or ho. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 2638) Update on dated 28-11-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.